Shayari With Images Biography
source(google.com.pk)Wo khafa bhi hota hai to zahir nahi karta,
Kasoorwar hain hum ye bhala khabar kaise ho,
Jiske deed se dhadkano ko rahat hoti hai,
Aadin bina us chand ke zindagi ye basar kaise ho.
Posted by Bhupendra under Latest Hindi Shayari
Kaise woh laut aaye
Kaise woh laut aaye ke fursat use nahin,
Duniya samajh rahi hai mohabbat use nahin.
Lagta hai aa chuki hai kami us ki chah mein,
Kafi dinon se mujh se shikayat use nahin.
Dil ki zameen us ki hai banjar isi liye,
Jazbon ki barishon ki jo aadat use nahin.
Posted by Bhupendra under Latest Hindi Shayari
Phoolon ki yaad aati hai
Phoolon ki yaad aati hai kaanton ko chhune par,
Rishton ki samajh aati hai faaslon pe rehne par,
Kuchh jazbaat aise bhi hote hain jo ankhon mein padhe nahin jaate,
Woh to nazar aate hain zubaan se kehne par.
Posted by Bhupendra under Latest Hindi Shayari
Naam ki kya baat karte ho
Naam ki kya baat karte ho,
Log chehre tak bhool jate hain.
Tum samander ki baat karte ho,
Log aankhon main doob jate hain.
Posted by Bhupendra under Latest Hindi Shayari
Gile shikwe na dil se laga lena
Gile shikwe na dil se laga lena,
Kabhi maan jana to kabhi manaa lena,
Kal ka kya pata hum ho na ho,
Jab mauka mile thoda has lena aur hasaa dena.
Posted by Bhupendra under Latest Hindi Shayari
Pattharon ko itna na pujo
Pattharon ko itna na pujo ke woh dewta ho jaye,
Kisi ko itna na chaho ke woh bewafa ho jaye.
Posted by Bhupendra under Latest Hindi Shayari
Baadalon ke darmiyan
Baadalon ke darmiyan kuchh aisi saazish hui,
Mera ghar mitti ka tha mere hi ghar baarish hui,
Usko bhi zid hai bijliyan girane ki,
Aur hamein bhi zid hai wahin aashiyan banane ki.
Posted by Bhupendra under Latest Hindi Shayari
Har ek rooh ki
Har ek rooh ki saanson pe wazan dekh raha hoon,
Main har ek sakhs ke haathon mein kafan dekh raha hoon.
Arre logon khuda hone ka dava na karo,
Main to insaan mein aadam ko bhi kam dekh raha hoon.
Yeh hawaon mein zahar aur yeh bimaar fiza,
Kal ko jo hona hai Anzaam-e-Chaman dekh raha hoon.
Yeh khuda ke liye Qatl-e-Khudai chhoro,
Nasl-e-Aadam mein tabahi ka chalan dekh raha hoon.
Roshni walon andheron mein bhi jeena seekho,
Mein aaftaab ke kadmon mein thakan dekh raha hoon.
Posted by Bhupendra under Latest Hindi Shayari
Yaad aane wale
Yaad aane wale yaad aaye ja rahe hain
Meri khayalon ki duniya par chhaye ja rahe hain
Hum kuch kehna chah rahe hain un se ,
Par wo chup hain bas sms padh ke muskuraye ja rahe hain.
Posted by Bhupendra under Latest Hindi Shayari
Abhi to baaz ki
Abhi to baaz ki asali udaan baaki hai,
Abhi to aapka imtihan baaki hai,
Abhi tak to aapne zamin dekhi hai,
Abhi to pura aasmaan baaki hai.
Posted by Bhupendra under Latest Hindi Shayari
Ankhoo ki aawaz
Ankhoo ki aawaz kuch aur hoti hai,
Aansoo ki aag kuch aur hoti hai…
Kaun chahta hai bichhadna apnon se,
Par kismat ki baat kuch aur hoti hai …
Posted by Bhupendra under Latest Hindi Shayari
Dil hona chahiye
Dil hona chahiye, Jigar hona chahiye,
Ashiqui ke liye hunar hona chaihye,
Nazar se nazar milne par ishq nahi hota,
Nazar ke us paar bhi ek asar hona chahiye.
Posted by Bhupendra under Latest Hindi Shayari
Kabhi ki hogi
Kabhi ki hogi suraj ne chaand se mohabbat…
Tabhi to chand mein daag hai….
Mumkin hai ki chand se huii hogi bewafai…
Tabhi to suraj mein aag hai…
Posted by Bhupendra under Latest Hindi Shayari
Na koi kisi se door hota hai
Na koi kisi se door hota hai,
Na koi kisi ke kareeb hota hai,
Pyar khud chal kar aata hai,
Jab koi kisi ka naseeb hota hai.
Posted by Bhupendra under Latest Hindi Shayari
Unki jahan se nirali hai ada
Unki jahan se nirali hai ada,
Andaz unke hai yaaron sabse juda,
Khafa ho jayen to qaatil se kam nahi,
Meharbaan ho jayen to lagne lagte hain khuda.
Posted by Bhupendra under Latest Hindi Shayari
Utray jo zindagi teri
Utray jo zindagi teri gehraiyon mein hum.
Mehfil mein reh ke bhi rahe tanhaaiyon mein hum.
Deewangi nahi to aur kya kahen?
Insaan dhundhte rahe parchhaiyon mein hum.
Posted by Bhupendra under Latest Hindi Shayari
Kal fursat na mili to
Kal fursat na mili to kya hoga,
Itni mohlat na mili to kya hoga,
Roz kehte ho kal milenge, kal milenge,
Kal meri aakhen na khuli to kya hoga.
Posted by Bhupendra under Latest Hindi Shayari
Sath chhutne se
Sath chhutne se rishte nahi tuta karte,
Waqt ki dhundh se lamhe nahi tuta karte,
Log kehte hain mera sapna tut gaya,
Tutati to nind hai sapne nahi tuta karte.
Posted by Bhupendra under Latest Hindi Shayari
Khwaish aisi karo ki
Khwaish aisi karo ki aasman tak ja sako,
Dua aisi karo ki khuda ko bhi pa sako,
Yun to jeene ke liye pal bahut kam hain,
Par jiyo aise ki har pal mein zindgi pa sako..!
Posted by Bhupendra under Latest Hindi Shayari
Kashti toofan se
Kashti toofan se nikal sakti hai,
Shama bujh ke bhi jal sakti hai,
Mayus na ho irade na badal aye dost,
Kismat kisi bhi waqt badal sakti hai.
Posted by Bhupendra under Latest Hindi Shayari
Bina gum khushi ka
Bina gum khushi ka pata kaise chalega,
Bina roye hansi ka maza kaise milega,
Wo jo bhi karta hai wo hi janta hai…
Agar hum jaan gaye to use khuda kaun kahega.
Posted by Bhupendra under Latest Hindi Shayari
No comments:
Post a Comment