Hindi Shayari With Images Biography
source(google.com.pk)Baarish ki bunde deewana banaye,
Tan ko bhigoye mann ki aag bhadkaye,
Aaj jai sajan dur humare waqt ki baat hai,
Par dil ko hum kaise samjhaye…
Pyar use karo jo tumse pyar kare,
Khud se bhi jyada tum par aitabar kare..
Tum bas ek bar kaho ki ruko do pal,
Aur wo un do palo
Ke liye puri jindagi intezar kare…
Bachpan Ke Dukh Bi Kitne Ache The,
Tab To Sirf Khilone Tuta Karte The,
Wo Khushiyan Bi Na Jane Kaise Khushiyan Thi ,
Titli Ko Pakad Ke Uchhla Karte The,
Paoon Maar Ke Khud Barish Ke Pani Mae,
Apna Aap Bhigoya Karte The,
Ab To Ek Aansu Bi Rusva Kar Jata Hai ,
Bachpan Mein Dil Khol Ke Roya Karte The…
Sham Hote Hi Dil Udaas Hota Hai
Khwaabon Ke Ilaava Jaise Kuchh Na Paas Hota Hai
Tumhe Bohat Miss Karte Hain Hum
Yaadon Ka Har Lamha Mere Liye Khas Hota Hai…
Mubarak Ho Tumko Ye Khushiyon Bhari Raat,
Sajan Lene Aaye Hai Sajni Ka Haat,
Salamat Rahe Dono Ki Ye Jodi,
Rahe Dulah Dulhan hamesha Saath….
Tumko Chupa Rakha Hai in Palko Main,
Par in ko yeh Batana Nahi Aaya,
Sote Main Bheeg Jati Hai Palke Meri,
Palkon Ko Abhi tak Dard Chupana Nahi Aaya…
Pyaar Aur Maut Se Darta Kaun Hai,
Pyaar To Ho Jaata Hai, Isse Karta Kaun Hai,
Hum To Kar De Pyaar Me Jaan Bhi Kurbaan,
Par Hume Ye Pata To Chale Humse Pyaar Karta Kaun Hai…
Aziz bhi woh hai..
Nasib bhi woh hai..
Duniya ki bhid main kareeb bhi woh hai..
Unki duao se chalti hai zindagi kyonki..
Khuda Bhi woh hai aur taqdeer bhi woh hai…
Zindagi mein kayi Mushkilain aati hain,
Aur Insaan Zinda rehne se Ghabrata hain,
Naa jaane kaise Hazaaron kaanton ke beech,
Rehkar bhi ek Phool Muskurata hain
Hume Waqt Aur Teacher Dono Sikhate Hain
Par Waqt Aur Teacher Me Sirf Itna Sa Fark Hai
Teacher Sikha Ke Imtihaan Leta Hai
Aur Waqt Imtihaan Lekar Sikhata Hai…
No comments:
Post a Comment